Dayar-e-ghair mein kaisey tujhe sada detey
Tu mil bhi jata to tujhe ganwa detey
Tumhe ney hum ko sunaya na apna dukh warna
Dua wo kartey k hum aasman hila detey
Hamein ye zom raha ab k wo pukarengey
Unhein ye zid thi k her bar hum sada detey
Woh tera gham tha k taseer mere lahjey ki
K jis ko hall sunatey usey rula detey
Tumhen bhulna he awwal to dastaras mein nahi
Jo ikhtiyar bhi hota to kiya bhula detey
Tumhari yaad ney koi jawab he na diya
Merey khayalon k aansou rahey sada detey
Sama'ton ko main ta-umrr kosta Syed
Woh kuch na kahtey magar hont to hila detey
0 comments:
Post a Comment