Bhier mein ik ajnabi ka samna acha laga
sab se chup kar woh kisi ka dekhna acha laga
Surmai aankhon k niche phool se khilne lage
kehte kehte kuch kisi ka sochna acha laga
Baat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam
hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga
Chay main chini milana us ghari bhaya bohat
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga
Dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use
woh mila to sab iradey torna acha laga
Beirada lams ki woh sansani pyari lagi
kam tawajjo ankh ka woh dekhna acha laga
Nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal
teri yadon k jalo main ghumna acha laga
Us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahun
jab bhi aya samne woh bewafa acha laga
0 comments:
Post a Comment