Zindagi k meyley mein,,khowahishon k reley mein
Tum sey kiya kahein jana,,is qadar jhameley mein
Waqt ki ravani hai,,bakht ki girani hai
Sakht bezamini hai,,sakht laamakani hai
Hijr k samandar mein
Takht aur takhtey ki eik he kahani hai
Tum ko jo sunani hai
Baat umer bhar ki hai
dard k samandar mein
Ungenat jazeerein hein,beyshumaar moti hain
Aankh k jazerey mein tum ne jo sajaayaa thaa
Baat us diye ki hai
Baat us giley ki hai
Jo lahuu ki Khilvat mein chor ban k aataa hai
Lafz k fasilon par---Tuut tuut jaata hai
Zindagi se lambi hai baat rat_jage ki hai
Raaste mein kaisey milein baat takhliye ki hai
Takhliye ki baaton mein guftaguu izaafi hai
Piyaar karane waalon ko eik nigaah kaafi hai
Ho sake to sun jaao eik din akeley mein
Tum se kiya kahein jaanaa
is qadar jhameley mein. . .