Tu nay daikha hai kabhi eik nazar shaam k baad
Kitnay chup-chaap say lagtay hain shajar shaam k baad
Itnay chup-chaap k rastay bhi rahen gay laa-ilm
Chor jaen gay kisi roz nagar shaam k baad
Main nay aisay he gunah teri judai mein kiye
Jaisay tufaan mein koi chor day ghar shaam k baad
Shaam say pehlay wo mast apni adaon mein raha
Jis k hathon mein thay Totay huey par shaam k baad
Raat biti to ginay aablay aur phir socha
Kaun tha bais-e-aaghaz-e-safar shaam k baad
Tou hai suraj tujhay malum kahan raat ka dukh
Tou kisi roz meray ghar mein utar shaam k baad
Laut aaye na kisi roz wo aawara mijaaz
khol rakhtay hain isi aas pay dar shaam k baad
Yousuf, Mona shine in back-to-back international marathons
-
*Pakistan News & Features Services*
Pakistan’s international marathon runners, Muhammad Yousuf Malik and Mona
Khan, have once again made their country prou...
1 month ago
0 comments:
Post a Comment