Privacy

Beginning in April, 2009 Google will begin tracking user activity via a cookie. This cookie will then determine what ads might be most appropriate for you, based on your interests. People who frequently visit ESPN.com and CNNSI.com, for example, will see sports-related ads. The logic is that you will be more interested in these ads than you might be in ads that are simply related to the content of the blog.

For more information, or to opt out, go to Google Privacy Center. There is a blue "opt out" button in the upper right corner.

If you opt out, you will continue to see ads, but they will be related to the content of the blog - something that does not require a cookie.

We use third-party advertising companies to serve ads when you visit our website. These companies may use information (not including your name, address, email address, or telephone number) about your visits to this and other websites in order to provide advertisements about goods and services of interest to you. If you would like more information about this practice and to know your choices about not having this information used by these companies, Click here Google Privacy Center.

Wednesday, August 26, 2009

GHAZAL


Woh dil ka bura,na beywafa tha
Bas mujh say yun he bicharr giya

Lafzon ki hadon say mawra tha
Ab kis say kahon woh shakhs kiya tha?

Woh meri ghazal ka aaena tha
Her shakhs ye baat janta tha

Her simt usi ka tazkira tha

Her dil mein woh jaisay bas raha tha

Main uski "ana" ka aasra tha

Woh mujh say kabhi na rothta tha

Main dhoop k ban mein jal raha tha

Woh saya-e-aber ban giya tha

Aik baar bicharr k jab mila tha

Woh mujh say lipat k ro para tha

Main banjh ruton ka aashna tha

Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

Kiya kuch na usay kaha giya tha?

Us ney to labon ko c liya tha

Woh chand ka humsafar tha shayed

Raaton ko tamaam jagta tha

Honton mein gulon ki narm khushbo

Batoon mein to shehed gholta tha

Kehney ko juda tha mujh say kekin

Woh meri ragon mein gunjta tha

Us ney jo kaha,kiya wo dil ney
Inkaar ka kis mein hosla tha

Yun dil mein thi yaad us ki jaisay

Masjid mein chiragh jal raha tha

Mat pucho hijaab k qareeney

Woh mujh say bhi kam he khul saka tha

Us din mera dil bhi tha pareshan

Woh bhi merey dil say kuch khafa tha

Main bhi tha dra hoa sa lekin

Rang us ka bhi kuch urra urra tha
Aik khouf sa hijar ki ruton ka

Dono pey muheit ho chala tha

Aik rah say main bhi tha gu.rezan

Aik morr pey woh bhi ruk giya tha

Aik pal mein jhapak gae jo aankhien
Manzer he nazar mein dosra tha


Socha to they.her gaey zamaney

Daikha to woh dor jachuka tha

Qadmon say zameen sirak gae thi

Suraj ka bhi rang sanwla tha

Chaltey howey loog ruk gaey they

They.ra howa sheher ghumta tha

Sehmey howey pairr kanptey they

Paton mein hiraas rengta tha

Rakhta tha main jis mein khuwab apney

Wo kanch ka ghar chatakh giya tha


Hum dono ka dukh tha aik jaisa

Ehsaas magar juda juda tha

Kal shab woh mila tha doston ko

Kehtey hein udaas lag raha tha


Mohsin yeh ghazal he keh rahi hai

Shayed tera dil dukha howa tha...

0 comments:

MY DIARY on Facebook

My Blog List

Template by: Free Blog Templates