Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney. . .
Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney Ye Kamal Mujh Pey Karm Kiya
Meri Loh-e-jaan Pey Raqam Kiya
Woh Jo Eik Chand Sa Hurf Tha,Woh Jo Eik Shaam Sa Naam Tha
Woh Jo Eik Phool Si Baat Phirti Thi Dar Badar
Usey Gulistan Ka Pata Diya. . .
Mera Dil K Shehr-e-malal Tha,Usey Roshni Mein Basa Diya
Meri Aankh Or Khouwab Ko Kisi Eik Pal Mein Beyham Kiya
Merey Aaeinoo Pey Jo Gard Thi Mah-o-saal Ki
Woh Utar Gae. . .
Woh Jo Dhundh Thi Merey Char So,Woh Bikhar Gae
Sabhi Roop Aks-e-Jamal K
Sabhi Khouwab Shaam-e-wisaal K
Jo Ghubaar-e-waqt Mein Sar Basar They Atey Howey
Woh Chamak Uthey. . .
Woh Jo Phool Rah Ki Dhool They,Woh Mehek Uthey,
Ley Saat Rang Bahar K
Chala Main Jo Sang Bahar K!!
To Saja Diye Sabhi Rastey,
Kisi Dast-e-shoubda Saz Ney
Merey Naam Per,Merey Wastey,
Meri Bey Ghari Ko Panah Di,Meri Justuju Ko Nishan Diya
Jo Yaqeen Sey Bhi Haseen Hai Mujhey Eik Aysa Guman Diya,
Woh Jo Reyza Reyza Wajoud Tha,
Usey Eik Nazar Mein Beyham Kiya. . .
Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney,
Ye Kamal Mujh Pey Karam Kiya!!!
0 comments:
Post a Comment