Privacy

Beginning in April, 2009 Google will begin tracking user activity via a cookie. This cookie will then determine what ads might be most appropriate for you, based on your interests. People who frequently visit ESPN.com and CNNSI.com, for example, will see sports-related ads. The logic is that you will be more interested in these ads than you might be in ads that are simply related to the content of the blog.

For more information, or to opt out, go to Google Privacy Center. There is a blue "opt out" button in the upper right corner.

If you opt out, you will continue to see ads, but they will be related to the content of the blog - something that does not require a cookie.

We use third-party advertising companies to serve ads when you visit our website. These companies may use information (not including your name, address, email address, or telephone number) about your visits to this and other websites in order to provide advertisements about goods and services of interest to you. If you would like more information about this practice and to know your choices about not having this information used by these companies, Click here Google Privacy Center.

Tuesday, March 31, 2009

"If You Forget Me"


I want you to know
one thing.

You know how this is:
if I look
at the crystal moon, at the red branch
of the slow autumn at my window,
if I touch
near the fire
the impalpable ash
or the wrinkled body of the log,
everything carries me to you,
as if everything that exists,
aromas, light, metals,
were little boats
that sail
toward those isles of yours that wait for me.

Well, now,
if little by little you stop loving me
I shall stop loving you little by little.

If suddenly
you forget me
do not look for me,
for I shall already have forgotten you.

If you think it long and mad,
the wind of banners
that passes through my life,
and you decide
to leave me at the shore
of the heart where I have roots,
remember
that on that day,
at that hour,
I shall lift my arms
and my roots will set off
to seek another land.

But
if each day,
each hour,
you feel that you are destined for me
with implacable sweetness,
if each day a flower
climbs up to your lips to seek me,
ah my love, ah my own,
in me all that fire is repeated,
in me nothing is extinguished or forgotten,
my love feeds on your love, beloved,
and as long as you live it will be in your arms
without leaving mine

An Entrapment


My love, I have tried with all my being



to grasp a form comparable to thine own,



but nothing seems worthy;






I know now why Shakespeare could not



compare his love to a summer’s day.



It would be a crime to denounce the beauty



of such a creature as thee,



to simply cast away the precision



God had placed in forging you.






Each facet of your being



whether it physical or spiritual



is an ensnarement



from which there is no release.



But I do not wish release.



I wish to stay entrapped forever.



With you for all eternity.



Our hearts, always as one.

Tuesday, March 24, 2009

"Sada sey chehrey per"


Sada sey eik chehrey per kiya jadouger si aankhien hein!!

Jo deikhey in ka ho jaey

Jo utrey woh thah na paey

Kitney sapney jag rahey hein

In palkon k saey saey

Shama-e-seher si,chara ger si,nama ber si aankhein hein!!

Anjani pehchani bhi

Apni aur beygani bhi

Eik he manzer ka hissa hein!!

Aks bhi aur heyrani bhi

Sahil jaisi lagti hein woh aur bhanwar si aankhein hein

Sada sey eik chehrey per kiya jadouger si aankhien hein!!!!!

Friday, March 20, 2009

Shaeir


Kaisey kareeger hain ye!

Aas k darakhtoon sey

Lafz kat'tey hein or seerhiyaan banatey hein

Kaisey ba-hunar hein ye!

Gham k beej botey hein

Aur diloon mein khushiyoon ki kheytiyaan ugatey hein

Kaisey charager hein ye!

Waqat k samander mein

Kashtiyaan banatey hein,aap doob jatey hein. . .

Saturday, March 14, 2009

Khush Nigah Si Aankh


Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney. . .

Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney Ye Kamal Mujh Pey Karm Kiya

Meri Loh-e-jaan Pey Raqam Kiya

Woh Jo Eik Chand Sa Hurf Tha,Woh Jo Eik Shaam Sa Naam Tha

Woh Jo Eik Phool Si Baat Phirti Thi Dar Badar

Usey Gulistan Ka Pata Diya. . .

Mera Dil K Shehr-e-malal Tha,Usey Roshni Mein Basa Diya

Meri Aankh Or Khouwab Ko Kisi Eik Pal Mein Beyham Kiya

Merey Aaeinoo Pey Jo Gard Thi Mah-o-saal Ki

Woh Utar Gae. . .

Woh Jo Dhundh Thi Merey Char So,Woh Bikhar Gae

Sabhi Roop Aks-e-Jamal K

Sabhi Khouwab Shaam-e-wisaal K

Jo Ghubaar-e-waqt Mein Sar Basar They Atey Howey

Woh Chamak Uthey. . .

Woh Jo Phool Rah Ki Dhool They,Woh Mehek Uthey,

Ley Saat Rang Bahar K

Chala Main Jo Sang Bahar K!!

To Saja Diye Sabhi Rastey,

Kisi Dast-e-shoubda Saz Ney

Merey Naam Per,Merey Wastey,

Meri Bey Ghari Ko Panah Di,Meri Justuju Ko Nishan Diya

Jo Yaqeen Sey Bhi Haseen Hai Mujhey Eik Aysa Guman Diya,

Woh Jo Reyza Reyza Wajoud Tha,

Usey Eik Nazar Mein Beyham Kiya. . .

Kisi Khush Nigah Si Aankh Ney,

Ye Kamal Mujh Pey Karam Kiya!!!

Wednesday, March 11, 2009

Mousam Acha Hai. . .


Rang dhanak ney bikhraye hein,mousam acha hai

Gaye zamaney yaad aaye hein,mousam acha hai

Aankhein,chehrey,khushbou,waadey,aansou,yaadein,phool

Aik aik ker k loat aaye hein,mousam acha hai

Shaam-e-shafaq ki sair bahaney tum bhi aajao

Dosat puraney sab aaye hein,mousam acha hai

Tuesday, March 10, 2009

"MOHABBAT"



Mohabbat Oos Ki Surat

Piyaas Pankhari k Hont Ko Seyraab Kerti Hai

Gullon Ki Aastinoo Mein Anokhey Rang Bharti Hai

Sehar K Jhatpatey Mein,Gungunati,Muskurati,Jagmagati Hai

Mohabbat K Dinoo Mein Dasht Bhi Mehsoos Hota Hai

Kisi Firdous Ki Surat

Moubbat Oos Ki Surat!!


Mohabbat Ab'ber Ki Surat

Diloo Ki Serzameen Pey Ghir K Aati Or Barasti Hai

Chamen Ka Zr'ra Zr'ra Jhumta Hai,Musksrata Hai

Azal Ki Bey-namo Matti Mein Sabza Sar Uthata Hai

Mohabbat Un Ko Bhi Aabaad or Shadaab Kerti Hai

Jo Dil Hein Qaber Ki Surat

Mohabbat Ab'ber Ki Surat!!


Mohabbat Aag Ki Surt

Bujhey Seenoo Mein Jalti Hai To Dil Beydaar Hotey Hein

Mohabbat Ki Tapish Mein Kuch Ajb Israr Hotey Hein

K Jitna Ye Bharakti Hai,Uroos-e- jan Mehekti Hai

Dilon K Sahil Pey Jama Hoti or Bikharti Hai

Mohabbat Jhaag Ki Surat

Mohabbat Aag Ki Surat!!


Mohabbat Khowab Ki Surat

Nigahoo Mein Utarti Hai Kisi Mehtab Ki Surat

Sitarey Aarzoo K Is Tarha Sey Jagmagatey Hein

K Pehchani Nhi Jati Dil-e-beytaab Ki Surat!

Mohabbat K Shajar Per Khowab K Panchi Utartey Hein

To Shakhein Jaag Uthti Hein

Thakey Harey Sitarey Jab Zameen Sey Baat Kertey Hein

To Kab Ki Muntazir Aankhoo Mein

Shamein Jaag Uthti Hein

Mohabbat Un Mein Jalti Hai chiragh-e-aab Ki Surat

Mohabbat Khowab Ki Surat!!


Mohabbat Dard Ki Surat!

Guzishta Mousmoo Ka Isteyara Ban K Rehti Hai

Shan-e-hijar Mein ,Roshan Sitara Ban K Rehti Hai

Mundair Per Chiraghoo Ki Lawein Jab Thatharati Hein

Nagar Mein Naumeedi Ki Hawaein Sansanati Hein

Galli Mein Jab Koe Aahat,Koe Saya Nahi Rehta

Dukhey Dil K Liye Jab Koe Bhi Dhoka Nahi Rehta

Ghamoo K Bojh Sey Jab Tootney Lagtey Hein Shaaney To

Ye Un Pey Hath Rakhti Hai

Kisi Hamdard Ki Surat!!

Guzar Jatey Hein Sarey Qafley Jab Dil Ki Basti Sey

Fiza Mein Tairti Hai Dair Tak

Ye Gard Ki Surat,

Mohabbat Dard Ki Surat!!!

Friday, March 6, 2009

Bey-Sabab


Tashnagi Bey-sabab Nahi Hoti


Mey-kashi Bey-sabab Nahi Hoti




Mohtasab Khud Bhi Is Ka Qaeel Hai


Zindagi Bey-sabab Nahi Hoti




Dosti Bhi Kabhi Rahi Hogi


Dushmani Bey-sabab Nahi Hoti




Ghar Jala Hai Ya Dil Jala Hai Koe


Roshni Bey-sabab Nahi Hoti




Dakhl Hota Hai Kuch Nazar Ko Bhi


Dilkashi Bey-sabab Nahi Hoti




Kisi Toufaan Ki Aamad Aamad Hai


Khamoshi Bey-sabab Nahi Hoti




Kiya Kisi K Ho Muntazir Mohsin


Bey-klli Bey-sabab Nahi Hoti

DORAHEY PER


Bicharna hai tum ko

Bichar jao lekin

Kisi sang-e-ilzaam sey to nawazo

------Agar zindagi k kisi morr per hum milein

To hamarey labon per

Eik halka tabbassum to ho

Koe baat waja-e-takalum to ho!!!!!!!

Tuesday, March 3, 2009

Taalouq


Ye Naaz Hai K Teri Aarzoo Mein Jeetey Hein


Ye Fakhar Hai K Teri Zaat Sey Taalouq Hai


Adm Hayaat Ki Her Qeemti Mussarat Ka


Khayal Sey Nahi,Jazbat Sey Taalouq Hai. .
MY DIARY on Facebook

My Blog List

Template by: Free Blog Templates