
Zara Bhi Jhol Ho Ley Mein
Bhari duniya k meyley mein
Agar hum kho bhi jaein to
Tumhein dil sey bhuladein or
Paraey ho bhi jaein to
Younhe thak har ker hum mond lein yeh muntazir aankhein
Sabhi Chiragh gull ker k agar hum so bhi jaein to
Merey dil ki ye dharti jis ko banjer ker gaey ho tum
Wafa k beej is mein loog aaker bo bhi jaein to
Bhari mehfil mein hans hans k bharm rakhein mohabbat ka
Magar tanhae mein aanso ye daman dho bhi jaein to
Hamein sab loog pather ki trha thoker lagaein or
Tumharey naam pey mashhor pagal ho bhi jaein to
Ye yaad rakhna jaan-e-gull
Tujhey hum younhe chahein gey
Kabhi na bhool paein gey!!!!
AY KHUDA
DIL O DIMAGH KI HER TEH SEY
YEHI DUA NIKALTI HAI
K MERI "MAA" KA SAYA
MEREY WAJOUD KO TAH-HAYAT
ISI TRHA ROSHAN KARTA RAHEY K JIS TRHA
TO APNI REHMATON K SAAYE TALEY
IS DUNIYA O JAHAN KO ROSHAN KARTA HAI..
(aameen)
Kabhi Tum Loat K Aao
Mujhey Bas Itna Samjhao
Kahan Sey Seikh Li Tum Ney
Adaa Mujh Ko Bhulaney Ki
Tumhein Mujh Sey Shikwa Tha Ya
Koe Bhi Shikayet Thi
Zehmat To Zara Si Thi
Na Ki Koshish Bataney Ki
Bhalla Yon Chorr K Apna
Koe Apno Ko Jata Hai
Musalsal Dukh Ki Barish Mein
Jeevan Bhar Rulata Hai
Abhi To Rait Gilli Hai
Abhi Sab Naqsh Baqi Hein
Gaye Qadmon Mein Loat Aao
Mujhey Bas Itna Samjhao
Kahan Sey Seikh Li Tum Ney
Adaa Mujh Ko Bhulaney Ki........
Jala k tu bhee agar aasra na day mujhko
Yeh khouf hai k hawa phir bujha na day mujhko
Main is khayal say mur mur k daikhta hoon usay
Bichar k woh bhi phir sada na day mujh ko
Isi khayal say shab bhar main so nahi saka
K khouf-e-khwab-e-guzishta jaga na day mujhko
Teray baghair bhi teri tarah main zinda rahoon
Yeh hosla bhi dua ker khuda na day mujhko
Main is liay bhi usay khud manaonga "faraz"
K mujh say roothnay wala bhula na day mujhko