Privacy

Beginning in April, 2009 Google will begin tracking user activity via a cookie. This cookie will then determine what ads might be most appropriate for you, based on your interests. People who frequently visit ESPN.com and CNNSI.com, for example, will see sports-related ads. The logic is that you will be more interested in these ads than you might be in ads that are simply related to the content of the blog.

For more information, or to opt out, go to Google Privacy Center. There is a blue "opt out" button in the upper right corner.

If you opt out, you will continue to see ads, but they will be related to the content of the blog - something that does not require a cookie.

We use third-party advertising companies to serve ads when you visit our website. These companies may use information (not including your name, address, email address, or telephone number) about your visits to this and other websites in order to provide advertisements about goods and services of interest to you. If you would like more information about this practice and to know your choices about not having this information used by these companies, Click here Google Privacy Center.

Monday, December 29, 2008

woh loog




Jo khiyal they,jo qayaas they woh he loog hum sey bichar gaey
Meri zindagi ki jo aas they woh he loog hum sey bichar gaey
Jinhein manta nahi dil mera woh he loog hein merey humsafar
Mujhey her tarah sey jo raas they woh he loog hum sey bichar gaey
Yeh khiyal sarey hein aarzi,yeh gulab sarey hein kaghazi
Gul-e-arzoo k jo baas they woh he loog hum sey bichar gaey
Jinein ker saka na qabool mein woh sharik-e-rah-e-safar hoey
Jo meri talab,meri aas they woh he loog hum sey bichar gaey

Friday, December 26, 2008

zamaney beet jatey hein. . . .

Kabhi nazrein milaney mein zamaney beet jatey hein,
Kabhi nazrein churaney mein zamaney beet jatey hein.

Kisi ney aankh bhi kholi to soney ki nagri mein,
Kisi ko ghar bananey mein zamaney beet jatey hein.

Kabhi kali siyah raatein hamein eik pal ki lagti hein,
Kabhi eik pal beetaney mein zamaney beet jatey hein.

Kabhi kholey darwaza khari thi samney manzil,
Kabhi manzil ko paaney mein zamaney beet jatey hein.

Eik pal mein toot jatey hein umer bhar k woh rishtey,
Woh rishtey jo bananey mein zamaney beet jatey hein.

salam

Hawaon,us ki glli sey guzro to us ko mera salam kehna,,
Mujhey khaber hai k merey ghar sey guzarney wali hawa ka rasta,,
Tumharey ghar tak nahi giya hai. . .
Salam mera tumharey kaano sey narsa hai. . .
Main janta hon,yeh bachpana hai, , ,
Magar Haqiqat ko jan ker bhi na janney mein ajab maza hai. . .
Hawa sey main ney yeh phir kaha hai!!
"Guzar rahey hein tumhari yadon k dam sey he subha shaam kehna"
Hawaon,us ki glli sey guzro to us ko mera salam kehna,,
Tumharey ghar ka kisey pata hai,hawa k rukh ki kisey khaber hai??

Thursday, December 25, 2008

kash


Theyhro Mujhey Kuch Kehna Hai,
Thora Piyar Bhi Tum Ko Deyna Hai,
Phir Apna Rasta Chalna Hai...

Jis Rastey Pey Chaya Bhi Nahi Or Tum Bhi Nahi...
Bus Yaad Tumhari Saath Rahey,
Yun Jaisey Dil Pey Haath Rahey,
Kuch Dard Ka Bhi Ehsaas Rahey,
Ruk Jao Yeh Tohfa Leyna Hai...

Eik Lambi Umer Judaai Ki Is Sa'at Sey Pehley Kati Hai,
Is Sa'at K Baad Guzarein Gey....

Eik Yaad Amar Hojaney Do,,
Bus Is Pal Tum Merey Saath Raho,,,
Phir Beyshak Door Chaley Jana,Phir Loat K Bhi Tum Na Aana
Bus Is Pal Tum Merey Saath Raho,,,


""Or Yeh Pal KASH Theyhr Jaaey""!!!!

FARZ


Chalo eik nazam likhtey hein,
Kisi k naam kertey hein..
Magar yeh sochna hai ab,
K us mein ziker kis ka ho???
K us mein baat kis ki ho???
K us mein zaat kis ki ho???

Aur yeh bhi farz kertey hein...
K jis pey nazam likhtey hein

Hamein us sey mohabbat hai...
Hamarey sarey jazbon ko,
Bus uski he zarorat hai.

Chalo eik kaam kertey hein,
K hum jo nazam likhtey hein,

Aap k naam kertey hein...
Aap he unwaan ho uska...
Aap ka ziker hai us mein...
Aap ki baat hai us mein...
Aap ki zaat hai us mein....

Mujhey Batata

Wo dilki batein zamane bhar ko na yun sunata,
mujhe batata.........

Wo eik dafa to meri mohabbat ko aazmata,
mujhe batata.........

Zamane walon ko kiya pari hai sunein jo hal-e-dil-e-skikasta

Magar meri to ye aarzoo thi mujhe bulata,
mujhe batata..........

Mujhe khabr hai k chupke chupke andhaire usko nigal rahe hein

Main uski ratoon mein apne dil ka diya jalata,
mujhe batata.......

Sitam hai k Muneer us ne jo sheher chora hai khamoshi se

Main uski khatir ye sari dunya bhi chor jata,
mujhey batata...........

""FAISLA""

Barra Dushwar Hota Hai
Zara Sa Faisla Kerna....

K Jiwan Ki Kahani Ko,
Baiyaan-e-Bezubani Ko....
Kahan Sey Yaad Rakhna Hai
Kahan Sey Bhool Jana Hai
Kisey Kitna Btana Hai
Kis Sey Kitna Chupana Hai
Kahan Ro Ro k Hansna Hai
Kahan Hans Hans K Rona Hai
Kahan Awaz Deni Hai
Kahan Khamosh Rehna Hai
Kahan Rasta Badlna Hai
Kahan Sey Loat Ana Hai

Barra Dushwar Hota Hai
ZARA SA FAISLA KERNA.....

NAEE BUNYAAD

Chalo Mohabbat Ki Naee Bunyaad Rarhtey Hein
Khud Paband Rehtey Hein,
Tumhein Aazad Rakhtey Hein.
Hamarey Khun Mein Rab Ney Taseer He Aisi Rakhi Hai
Buraiyan Bhool Jatey Hein,
Achaiyaan Yaad Rakhtey Hein.
Ye Soch Ker K Gustakhi Na Hojaey Mohabbat Mein
Isliye Apna Her Qadam Terey Qadam K Baad Rakhtey Hein..

JUDAAI

Sunnoo....!!!!
""Hum toot jaien gey
K duri seh na paien gey
Judaai maar daley gi..""

Sunnoo....!
""Ye aankhen bojhal hein,
inhein kis tarha behlaien..""

Sunnoo...!!!!
""Hum so na paien gey,

Kabhi khush ho na paein gey
Judaai maar daley gi..""

Sunnoo....!!!!
""Ye dil tumhara hai,
Na tum bin ab guzara hai..""

Sunnoo....!!!
""Kuch waqat do hum ko,
Bana lein dost is ghum ko,,,
Humein maloom hai aakhir................""



""Judaai maar daley gi
Judaai maar daley gi""

Tuesday, December 23, 2008

"AADAT"

Is sheher mein aisi bhi qiyamat na hoe thi,
Tanha they magar khud sey to wehshat na hoe thi.
Ye din hein k yaroon ka bharoosa bhi nahi hai,
Woh din they k dushmen sey bhi nafrat na hoe thi.
Ab saans ka ehsaas bhi eik baar-e-giraan hai,
Khud apney khilaaf aysi baghawat na hoe thi..
Khwabon ki hwa raas thi jab tak mujhey Moeen,
Yun pareshaan rehna meri aadat na hoe thi.....

Friday, December 19, 2008

===GhaLti MeRi Thi..===

''Ghalti meri thi''
Us ney mujhey chaha he nahi,mein chahat samajh beytha...
Ghalti meri thi...!!!

Uski pal bhar ki muskurahat ko piyar samajh beytha....
Ghalti meri thi...!!!

Woh to her baat per haan kaha kerti thi,main he iqrar samajh beytha...
Ghalta meri thi...!!!

Usney mujh sey ziyada ahmiyaat di merey doston ko,
Main uski yeh ada mazak samajh beytha....
Ghalti meri thi...!!!

Usney kaha bhi tha koe or hai meri zindagi mein,
Main he khud ko us ki zindagi mein samajh beytha...
Ghalti meri thi...!!!

Thursday, December 18, 2008

MUHABBAT HUMEIN BHI HAI

Milla woh bhi nahi kertey,
milla hum bhi nahi kertey.
Wafa woh bhi nahi kertey,
wafa hum bhi nahi kertey.
Unhein ruswaei ka dukh hai,
humein tanhae ka dukh hai.
Gilla woh bhi nahi kertey,
gilla hum bhi nahi kertey.
Kisi moorr per takrao hojata hai aksar
Ruka woh bhi nahi kertey,
ruka hum bhi nahi kertey.
Jab bhi deikhtey hein unhein,
sochtey hein kuch kahein un sey.
Sunna woh bhi nahi kertey,
kaha hum bhi nahi kertey.
Lekin yeh bhi sach hai k,
Muhabbat unhein bhi hai muhabbat hamein bhi hai.
Bola woh bhi nahi kertey,
bolo hum bhi nahi kertey........

Friday, December 5, 2008

GHAZL

Babnaam zamaney mein mohabbat nahi kertey,
Dil waley too dushman sey bhi nafrat nahi kertey.
Eik baar jisey chaha sada uss k rahey.
Hum loog amanat mein khiyanat nahi kertey,
Tanhae mein ker leytey hein yaad aansou baaha ker,
Zahir kabhi hum apni ibadat nahi kertey.
Waqat aaney per maloom yeh hojaey ga tumko,
Hum sirf dikhawey ki mohabbat nahi kertey.
Likhtey hein faqat eik tumharey liye ghazlein,
Her shakhs pey hum aisi inayet nahi kertey..

PIYAAS

PIYAAS AISI K PEE JAOUN SAMANDER SARA,
NASEEB AISA K MAYASAR ZEHAR BHI NAHI.
BEY LOOS WAFAIEN KOE HUM SEY SIKHEY FARAZ,,,,,
JISEY TOOT K CHAHA USEY KHABER BHI NAHI...

Bharoosa

zara paaney ki chahat mein,
bohat kuch choot jata hai.
najaaney saber ka dhaaga,
kahan per toot jata hai.

kisey hamrah kehtey ho,
yahan to apna saya bhi,
kahen per sath choor rehta hai.
kahen per choot jata hai.

ajab shay hai ye rishta bhi,
bohat mazbut lagta hai,
zara si bhool sey lekin,
bharoosa toot jata hai...............
MY DIARY on Facebook

My Blog List

Template by: Free Blog Templates